Kya haal hai dosto, ye post bhot saare logon ko samaj nhi aayega or mujhe sbko smjhane ka prayas bhi nhi krna. Mera toh bs sawal krne ka man hai.
Image by Rene Tittmann from Pixabay
Kaise Sawal? Acha hai aapne puch liya, phla toh yhi sawal hai ki duniya aisi kyun hai jaisi hai. Or jaane kya kya.
Chlo shuru krte hai is duniya se, Kyun kisi Bhagwaan/Allah/God ya jo bhi creator hai usne iss duniye main itne dukh diye hi kyun hai? Kya agar vo itna hi shaktishaali hai (jo ki sb claim krte hai) toh vo ek aisi duniya nhi bna skta tha jisme itna moh, dukh, kalesh, peeda, abhaav hota hi nhi? Kya iska matlab ya toh vo shaktishaali nhi hai ya fir vo acha Bhagwaan nhi hai ya dono?
Lekin log toh usse sbse shaktishaali, sarvvyapi maante hai, iska matlb vo hame khush nhi dekhna chahta? Kaafi logon ko toh ye abhi se blasphemy lag rhi hogi lekin mera post pura padh kr hi jaana. Toh kuch log ye tark denge ki sukh-dukh, abhav-bhulta aadi sb aapke karmo pr tika hai? Jo ki phli nazar main toh thk lagta hai lekin fir kuch cultures hai jisme unke Bhagwaan saaf likhte hai ki "maine toh kuch logon ko nark main jaane k liye hi paida kiya hai"
Fir ye kaisa karm? Or kuch log toh ye bhi khte hai ki aapka jeevan phle se hi decided hai toh fir ye kaise karm? Or agar ye maan bhi le toh jo Bacha viklaang paida ho rha hai uska kya kasoor? Usne konsa Karm kiya or kab? Agar pichle janm me kiya toh iska usse aabhas toh hona chahiye.
Ye toh koi bda krur Bhagwaan hoga jo saja toh deta hai lekin btata nhi ki kis baat ki saza mil rhi hai, aare police bhi aapko aapka kaand bta kr arrest kregi fir ye kaise parmatma?
Or sabse bda sawal toh ye hai ki kiska bhagwaan asli hai, saare cultures ki apni apni pratha hai, bhagwaan, allah, jesus or pta nhi kon kon hai. Sb ek doosre pr bam fodne ko tatpar hai (kuch log toh bhot hi jyada). Chlo Karm kaand ka concept toh fir bhi samaj aata hai lekin vo kya jisko Allah ne bs jahannum k liye hi paida kiya hai? Kya vo log jo usse nhi maante seedhe aag main jalne ki ticket kata chuke hai? Kya svarg or narak?
Kyun lako krodo nhi lekin arbo log aisi chijo ko maante hai jinke praman Pratyaksh nhi hai? Or is anant bhramhand main hum hi itne important hai ki puri duniya sirf insano k liye hi bani hai? Kya upar hai or kya niche is outer space main? Uttar Dakshin bhi insano ne hi naam diya hai toh kya kya insaano ne bnaya hai? Kya Bhagwaan ko bhi toh nhi...???